Search Hadees Here

Loading...

Thursday, March 7, 2013

Aulad-E-Aadam ke sardar,Nabiyo ke Imaam Swallalaho Alayhi Wasallam

Me roze qayamat tamam aulade Aadam ka sardar hun.
Aur mere hath me Livaul hamd hoga aur me ispar Fakhra nahi karta.
>Mishkat sharif safa:513

Hazrate Ubeyya bin kasab radiallahu anhu se riwayat he ki Rasoole karrem Swallalaho Alayhi Wasallam ne farmaya ke Qayamat ke din me Nabiyo ka Imam aur unka Khatib aur Sahibe Shafa'at hunga.
>Tirmizi sharif, safa 201, Jild 2, Mishkat sharif safa 514.

Sarkar-E-Qaynat Swallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya.
muze 6 bato me Ambiya par fazilat di gayi he.
1. She'ab ke jariye meri madad farmayi gayi
2. Mere liye Ganimat ka maal halaal farmaya gaya.
3. Muze tamam Makhluk ke liye Rasool banaya gaya
4. Mere liye sari zain ko Masjid bana diya gaya
5. Tayammum ki izazat de di gayi
6. Meri zaat se Ambiya ka silsila khatam hota he.
>Bukhari Sharif, Ibne Maja.

Saturday, February 2, 2013

Khatmun Nabiyyin Swallalaho Alayhi Wasallam

"Kujat Nabiya wa Aadamu Bain Roohe wa Jasad"
Me us waqt Nabi tha jab Aadam Rooh aur Jism ke darmiyan the.
>Madrjun Nabuwwat

Rasoole kareem Swallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Allah Ta'ala ne koi Nabi nahi bheja jisne apni Ummat ko Dajjal ke nikalne se na daraya ho. Ab me Aakhri Nabi hu aur tum Aakhri Ummat ho wo jarur tumhare andar hi niklega.
>Ibne Maja.

Hazrate Arbaz bin sariya se riwayat he ki Pyare aaqa Swallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Beshak ! Me Allah ke najdik us waqt Khatemun Nabiyyin tha jab ke Aadam Alayhissalam abhi apne khamir me the.
>Mishkat sharif safa 513.

Hazrate Abu Haurerah radiallahu anhu se riwayat he ki Sahabae kiram ne pucha Ya Rasoolallah ! Aapke liye Nabuwwat kis waqt sabit ho chuki thi?
Aapne farmaya Jis waqt Hazrat Aadam Alayhissalam abhi Rooh aur Jism ke darmiyan the. yani unke Jism me Jaan bhi nahi aayi thi. Me us waqt se Nabi hu.
>Tirmizi Sharif, Mishkat Sharif.

Huzoor Akram Swallalaho Alayhi Wasallam ne farmaya meri aur muzse pehle guzre huye Ambiya ki misal aisi he jaise ek shaks ne imarat banayi aur khub hasin wa jamil banayi. magar kone me ek it ki jagah chuti huyi he.
log is imarat ke ird gird firte he aur uski khubsoorati pe hairan hote he. magar satha me ye bhi kehte he ki agar ye jagah na rakhi gayi to wo it me hu aur me khatmun nabiyyin hu.
>Bukhari Sharif.

Saturday, January 26, 2013

Shaan-E-Mehboobe Khuda Swallalaho Alayhi Wasallam Jashne Eid-E-Milad Un Nabi Mubarak

Mujaddid-E-dino millat Imam Ahmed Raza Khan fazile Barelvi Rehmatullah alayhi irshad farmate he:
"Wo jo na the to kuch na tha,
Wo jo na ho to kuch na ho,
Jaan he wo jahan ki,
Aur Jaan he to Jahan he."

Rehmate Aalam Shafi-E-Mehshar Janabe Muhammad Mustafa Swallalaho Alayhi Wasallam ki azmat wa tazim,Uloobe shaan,taukir Quraane qareem me sarahat ke sath maujud he. Pehli dalil khud Kalma-E-Shahadat he. Jo rif'ate maqam uloobe martabat,azmate shaan aur hifze adab par sadik he. aur dalalat karta he ki koi bujurg aapki bujurgi ke barabar nahi he.
Kitni qadar wa manzilat he jiski madah wa sana khud Parwardigare Aalam Malik-E-Arshe Aazam farmaye.
Subhanallah....!!!!
Aisi Azimoshan shano shaukat pe lakho salaam.
Quraan kareem me Huzoor Swallalaho Alayhi Wasallam ke maratib aur darjat ki jo tafsilat darz he inko shumar me lana namumkin he.

Shaan-E-Mehboobe ilahi ko bayan karna muz nachiz gunahgar bande ki aukat nahi he. fir bhi Hadees ki roshni me hum apne pyare aaqa Swallalaho Alayhi Wasallam ki Shaano Shaukat pe ek nazar dalte he.
"Ek martba Duroode pak ka nazrana pesh kare"

"Beshak (Aye Mehboob) humne tumhe bheja hajir wa najir khushi aur dar sunata.
taki Aye logo! Tum Imaan lao, Allah Ta'ala aur uske Rasool par. aur Rasool ki tazim wa taukir karo. aur subah wa sham Allah Ta'ala ki paki bolo."
>Para 26, Surah Fatah, Aayat 8/9, Kanzul Imaan.

Is Quraane pak ki aayat ke tahat Allah Tabarak wata'ala Imaan ke mut'allik 4 bato ka huqm farma raha he.
in 4 me se kisi ek bat par bhi yakin dagmagaya to Imaan jane me der nahi lagti.kasam khuda ki yah 4 bate hi Imaan ki pehchan he.
1. Shane Habibe khuda Swallalaho Alayhi Wasallam
2. Allah aur uske Habib ko dilo jaan se manna
3. Habibe Khuda ki tazim wa taukir karna
4. Uske bad ibadat ka huqm he.

Pyare aaqa ne apni pehli dawat par makkawalo se farmaya:
Aye Makkawalo ! mene tumhare sath 40 sal guzare. Muze tumne kaisa paya?
Charo tarafse aawaz aane lagi
"Aap Amin he, Aap Sadiq he."
>Sirate Mustafa.

Thursday, January 24, 2013

Wiladat-E-Khatmul Ambiya Rehmatallil Aalmin Sayyadul Mursalin Hazrat Muhammad Swallalaho Alayhi Wasallam

Humare readers ko aur tama Aashikane Rasool ko Jashne Eid-E-Miladunnabi mubarak ho.

Pyare Aaqa Swallalaho Alayhi Wasallam ki wiladat ka bayan:
Allah ta'ala ne Hazrat Aadam Alayhissalam ki aulad me se bani kanana ko sarfarazi bakshi, bani kanana se Kuraish ko, Kuraish se Bani Hasham ko aur Bani Hasham se muze bujurgirah farmaya.
waqte wiladate mustafa tamam boot sarango ho kar gir pade.
Shikme madar se khatna shuda aur Paak aur Naaf Buridah tavallud hue. Paida hote hi sajda kiya is tarah ki bajanib aasman nazar buland thi aur angurat shahadat uthi hui thi. Aapki walida Sayyada Aamina Radiallahu Anha ne dekha ke unse ek Noor ne jalwa farmaya. Jisse sham ke tamam kasur aur mahlat roshan ho gaye. Aapne zule ko Farishto ne zulaya aur mahad me aapne kalaam farmaya. Ahte sair likhte he ke mahad me chand aapse baate karta aur aap jidhar ishara farmate chand zuk jata. Huzoor ke liye dhoop me badal saya karte the. Jab aap apne chacha Abu Talib ke sath safar me the Behra Rahib ne aapko pehchana. inhi khasais me se aapka shake sadar he. iska waqu'a char martaba hua he. Pehli martba bachpan me jab ke aap bani sa'ad me the, dusri martba dasve sal me, tisri martba ba'ashat ke waqt aur chauthi martba shab-e-meraj me aur inhi khasais me se aap ki khidmat me ibtadaye wahi ke waqt Jibril Alayhissalam ka aakar lipatna aur aapke wajud sharif me tasarruf karna he. inhi khasais me se ye bhi he ki Haq Ta'ala ne aapke har ajube mubarak ka Quran Kareem me jikra farmaya he.
inhi khasais me ye bhi he ki Haq Ta'ala ne apne isme sifat "Mahmud" se aapka ism mubarak "Ahmad" Muhammad Swallalaho Alayhi Wasallam nikala. Aapke pehle ye nam kisi aur ko na rakha tha. inhi khasais me ye bhi he ki Haq Ta'ala ne aapko Bahishti khana-pina khilaya he. aur inhi khasais me ye bhi he ki huzoore purnoor Swallalaho Alayhi Wasallam Pusht ki taraf bhi aisa hi dekhte the jis tarah samne se dekhte the aur rat ke tariki me aisa mulahija farmate jaisa din ki roshni me mulahija farmate. jab aap patthar pe chalte to aapke qadam mubarak us patthar me naksh ho jate. jis tarah ke Maqame Ibrahim Alayhissalam me he. Quran me katai taur par iska zikra he. aur aapke dono kohniyo ka nishan Makka ke patthar me mashhur he. aapke ghode ke sumo ka nishan Madina tayyaba me bhi Maviyah ki masjid me waqe he. Aapka Luhabe dahan khare pani ko shiri banata aur shir khwaye bachche ko dudh se beniyaz karta. Aapke sina mubarak ki khushbu mushqe nafiya se jyada thi. aur zamin par aapka saya na padta tha. kyonki zamin mehle kashafat wa najasat he. Suraj ki roshni me kabhi aapka saya na dekha gaya. Huzoor Swallalaho Alayhi Wasallam anwar ain noor he to noor ka saya nahi hota. aapke kapdo par kabhi makkhi na baithi. Jab sayyadusadat fakhre moujudat Muhammad Swallalaho Alayhi Wasallam paida huye to shayatin ko aasman par chadhne aur dakhil hone se rok diya gaya. Hazrat Isa Alayhissalam ki wiladat ki barkat se sirf 3 aasman tak shayatin ko roka gaya.
Huzoor purnoor ki wiladate pak ki barkat se shayatin ko sare aasman par rok diya gaya. Jab bhi koi shaitan aasman par chadne ka irada karta to aag ki chingariyo se unhe mara jata.
kisi ko jala deta he kisi ka chehra zulas deta he.
>Madarjun Nabuwwat

Saturday, December 29, 2012

Sahaba aur Mohobbate Rasool Swallalaho Alayhi Wasallam

Hazrate Huzaifa radiallaho anhu se riwayat he:
Mene Pyare Aaqa Swallalaho Alayhi Wasallam ko Makka sharif me 'Abtah' (jagah ka nam) me dekha. Jubke Pyare Aaqa chamde ke surkh khaima me tashrif farma he aur mene Hazrate Bilal radiallaho anhu ko dekha ke unhone Pyare Aaqa Swallalaho Alayhi Wasallam ke wuzoo ka musta'amil pani ek bartan me liya aur logo ko dekha ki us pani ki taraf daud rahe he. To jisko jo kuch hasil hua usne apne chehre pe mal liya aur jisne na paya usne apne sathiyo ke hath se tari leli.
>Bukhari sharif, Muslim sharif, Mishkat sharif.

Hazrat Anas radiallahu anhu farmate he ke maine Pyare Aaqa Swallalaho Alayhi Wasallam ko dekha.
Ek aadmi aapke sar mubarak ke bal (Mue mubarak) katar raha he. Aur pyare nabi ke deewane sahabi aapke ird gird halka banakar baithe hue the. Nahi chahte the ke pyare aaqa ka ek bhi mue mubarak kisi na kisi ke hath me aane ke bajaye zamin pe gire.
>Muslim sharif.

Thursday, December 20, 2012

Sahaba-E-Kiram aur Mohobbate Rasool Nabi-E-Karim Swalallaho alayhi wasallam

Sahabi-E-Rasool: Sahabi unhe kaha jata he jinhone pyare aaqa Swallalaho alayhi wasallam ko dekha he. (yani aapke mubarak zamane ke log)

Sahaba-e-kiram apne pyare aaqa se jo mohobbat rakhte the wo puri qaynat ke liye ek misal he.
To aaiye hum Hadees-E-pak ki roshni me unki is mohobbat ko jante he.

Hazrat urvah bin mas'ud radiallaho anhu (jub wo musalman nahi hue the) mushrekin ne Makka ki taraf se sulah ki guftagu karne Hudaibiya ke mukam par madani Aaqa Swallalaho alayhi wasallam se milne aaye the. is mauke par un logo ne sahaba ka apne aaqa ke liye jo manzar dekha tha , wapasi ke bad mushrekin Makka ko sunate he:
Kasam Khuda ki ! me badshah ke darbar me wafad lekar gaya hu , me Kaisar wa Kisra aur Najjashi badshaho ke darbar me hajir hua hu.
Lekin mene koi badshah aisa nahi dekha ke uske sathi is tarah Tazim karte he jaise Muhammad Swallalaho alayhi wasallam ke sathi unki Tazim karte he.
Jab wo thukte he to unka thuk kisi na kisi aadmi ki hatheli par hi girta he. jise wo apne badan aur chehre par mal lete he. aur jub Aaqa koi huqm dete he to fauran uski tamil hoti he.
Jab Madani Aaqa Swallalaho alayhi wasallam Wuzoo farmate he to aisa malum hota he ke wuzoo ka musta'amil pani hasil karne ke liye log ladne marne par aamda hote he.
Aur jub apne Aaqa ki bargah me bat karte he to apni aawazo ko aahista rakhte he aur taziman unki taraf aankh bhar kar nahi dekhte.
(Bukhari Sharif)